Blogger Post Ko Google Webmaster Tool Me Fast Index Karne Ka Tarika

Blogger Post Ko Google Webmaster Tool Me Fast Index Kaise Kare - Help In Trick Blog me apka welcome hai aj ki post bloggers ke liye kafi important hai aaj ki post me ap janenge blogger blog ki kisi bhi post ko Google Webmaster Tool me fast index kaise kare, Post ko fast index karke first page me kaise laye, blog post ko google ke first page me kaise laye.


Aik ache or professional blogger ke liye zaroori hai ke uska blog google me si tarah se submit ho or blog ki sari post google search result me index hon yani ke sari posts webmaster tool me submit hon, kyu ke yehi aik  important tarika hai apne blog me zada traffic, views laney ka.


Jab ap blog me koi post likhte hain to wo post ko search result me show hone me 2, 3 din ya kabhi iss se zada time lag jata hai jis se apki post search result me fast index nhi hoti, Too isi cheez ko dhayan me rakhte huey google webmaster tools me post ko search result me fast index karne ka feature URL inspection tool available hai. 
 
Iss feature ke istemal se ap apni kisi bhi post ya page ko google search me fast index kar sakte hain.

Google webmaster Tool me post ko fast index kaise kare.


Google webmaster tools me post ko fast index karne ka sub ko pta hoga or ho sakta ha apko webmaster tools ke old version me iska use bhi karna ata ho, lekin kuch time phale Google Webmaster Tool update hua ha jiske baad isko use karna kafi difficult hogya ha or kafi option iss me change hogae hain, isi waja se aaj me apko update Google Webmaster Tools me post ko fast index karne ka tarika btonga.

Blogger post ko google me fast index karne ka tarika.


Google me post ko fast index karne ke liye neche diye gaye steps follow kare.

1. Sub se phale Google Webmaster Tool open kare.
2. Sign in me click karke gmail ID se sign in karle, Jis ID se apne blog google me submit kya wa ha us se sign in kare.
3. Uske baad left side me crawl me click kare, phir Fetch as Google me click kare. 


Google webmaster tool
Blogger post ko google me fast index karne ka tarika



Ye sub karne ke baad wha aik message likha aega Use the new URL Inspection tool ka. ap upar image bhi dekh sakte hain, yehi baat me apko upar bhi bta raha tha ke old Webmaster Tool se Fetch as Google ke feature ko remove kardya gya ha.
Iske liye ap go to the new search console ke button me click kare, click karne ke baad ap new search console me phunch jaye gain.


4. Uske baad left side me ap URL inspection me click kare.
5. URL inspection me click karne ke baad apko box me wo post ka link dalna ha jo ap fast index karne chaha rae ho, uske baad enter kare. (Neche image dekhe)


URl inspection tool
URL inspection Tool



 6. Agar apki post google me index hui wi hogi to URL is on Google likha aega, or agar apki post google me index nhi hui wi hogi to URL is not on Google likha hua aega.
 
7. Last me ap REQUEST INDEXING me click karde. 


URL Inspection tool image
Blogger post ko google webmsater tool me fast index kaise kare


Iss tarah se ap kisi bhi post ke link ko new search console me successfully submit kar sakte hain or apni post me acha traffic la sakte hain.

Dosto kaise lagi apko ye post umeed karta hun apko post achi tarah se samjh ayi hogi agar ap ko is post me kuch samjh nhi ara hoto ap mujh se puch sakte hain.

Is blog me Blogger, YouTube, Tips and tricks, SEO se related post share karta hun to ap log is blog ki or post bhi parhe is se apko kafi kuch seekhne ko milega.


No comments:

Powered by Blogger.