Facebook Page Me Aik Se Zada Admin Banane Ka Tarika

Facebook page me admin ko add ya remove karne ki jankari, ap sub log kaise hain umeed karta hun ap sub log kheriat se honge aaj ki post me ap janenge ke kisi bhi Facebook page me kisi ko bhi admin banana ya remove karna.

Is post ki madad se ap apne facebook page me kisi ko bhi admin bana sakte hain or kisi bhi admin ko remove kar sakte hain ya phir admin ko editor, moderator waghera bana sakte hain.

Iss se pahle me apko Facebook page banane ka tarika bta chuka hun jo ap neche link me click karke check kar sakte hai.


Facebook Page Banane Ka Complete Tarika


    Bhut kam log jante hain ke hum Facebook par hum apna page bhi bana sakte hain or us page ke aik se zada admin bhi rakh sakte hai facebook page ke liye editor, moderator sub alag se rakh sakte hain.

    Facebook page me aik se zada admin or editor rakhne ka faida.

    Iska faida ye hai ke agar ap busy hai ya phir apki gher mojodgi me other Facebook User apke page ko manage kar sakta hai, or iska aik khas faida ye hai agar ap apse apne FB account ka password miss hojata hai ya phir apki Facebook Profile kisi wja se login nhi hori hoti to jab bhi ap apka page ko dusra admin manage karta rahega or apka page working me rahega.


    Apne page ka admin ap hamesha usey banaye jise ap achi tarah jante hain or wo bharose mand ho, Q ke agar hum kisi or ko bhi apne Facebook page ka admin bana dete hai to wo bilkul apki tarah page ko full manage kar sakta hai.


    Also Read These Posts:

    Facebook page me Admin, Editor, Moderator, Advertiser, Analyst kaise banaye.

    Sub se pahle ap Facebook site open kare or login kare login karne ke baad ap page ko open kare.



    Facebook page admin
    How to change or remove admin in Facebook page 

    1. Facebook Page open hone ke baad top me apko setting ka option dekhe ga us me click kare.
    2. Page roles ke option me click kare.
    3. Assign a new page role ke neche ap apne friend ka naam likhe jisko ap admin, editor, moderator, advertiser, analyst banana chate hai, admin banane ke liye ap admin me click kare, ye apki marzi hai ap jo banana chate hain us ko select kare.
    4. Iske baad ap Add ke button me click kare.


    Add ke button me click karne ka baad aik popup kulega jis me apke facebook ka password pucha jaega, password enter karne ke baad apka FB friend apke page ka admin ban jaega or apke page full control uske pass chala jaega, yad rakhe kisi bharose mund person ko hi apne page ka admin banaye.

    Facebook page se Admin, Editor, Moderator, Advertiser, Analyst remove kaise kare. 

    ap apne page se Admin Editor Moderator Advertiser Analyst ko remove bhi kar sakte hai, iske liye apko wohi sub kuch karna hai.





    Facebook page admin
    Facebook Page me admin add karne ka tarika


    1. Facebook Page open hone ke baad top me apko setting ka option dekhe ga us me click kare.
    2. Page roles ke option me click kare. uske baad scroll down kare.
    3. Neche apko existing page roles ka neche wo sub log show honge jo page ko manage  kar rae hain, ap jisko ko bhi remove karna chahte hai uske naam ke side me edit likha wa show hoga us me click kare or remove me click karde.

    Remove ke button me click karne ka baad aik popup kulega jis me apke Facebook ka password pucha jaega, password enter karne ke baad admin remove hojaega.

    Umeed karta hun apko ye post pasand or achi tarah samjh ayi hogi, agar is me apko kuch samjh nhi aye to ap comment karke puch sakte hai.





    1 comment:

    Powered by Blogger.