Blogger Ki Sabhi Post Me Search Description Enable Kaise Kare

Blogger ki sabhi post me search description enable karne ka tarika, Blog me search description enable kaise kare, Post me description add kaise kare, Blog post me description option kaise laye.

Blogger ko google ya kisi or search engine me top rank me lane ke liye meta search description enable karna bahut zaruri hai is se apko apne blog me zada views mil sakte hain or apka blog SEO me top rank me asakta hai.  


Meta Search Description kya hai

Ye hamare blog or post ke bary me jankari hoti hai is se ap 150 words ki description ke through apne page ke bary me btate hain ke is me kya hai or kis topic ke bary me post likhi hai apne. Is me ap sirf 150 words ko use kar sakte hain. ap koshish kare 150 words ke andar achi description or keywords ko use karen Agar ap achi description likhte hain post me to is se apki post SEO me top asakti hai.

 

Blog me Search Description enable kaise Kare 

Blogger blog me search description enable karne ke liye neche steps follow kare.

Sub se phale ap apne blogger ke dashboard ko open kare.

Uske baad setting me click kare, neche meta tags ke section me enable search description ko enable kare


Meta tag
blogger me search description enable kare



Enable karne ke baad box me ap apne blog ka bary me description likhe, matlab ap apne blog ko 150 words ke andr ki descriptrion me define kare ke apke blog me kya hai or apka blog kis topic par hai.
last me save par click kare. 

Blogger ki har post me search description enable kaise kare 

Waise to upar wala kaam karne ke baad apki har post me search description ka option enable ho jaega agar uske baad bhi blog me post search description enable na ho to uske liye apko apne blog me aik HTML code add karne hoga.


Search description



Blogger dashboard me theme me click kare, customize me click kare, Edit HTML me click kare.

Ab ap Ctrl+F daba ke <head> search kare, or uske neche ye code dale




Or last me theme ko save kardain.

Ab apni har post me search description use kar sakte hain iss tarah se apke blog ka traffic bhi increase hoga 




Umeed hai apko ye post achi tarah se samjh ayi hogi agar apko is post ke bary me kuch bhi puchna wo ap puch sakte ho. 

1 comment:

Powered by Blogger.