Blogger Me Facebook Page Widget Add Karne Ka Tarika

Hello visitor kaise hain ap log umeed karta hun ap sub kheriat se honge aaj apke liye aik or nayi post lekar hazir hua hun. 

Aaj ki post me apko Facebook page ko blogger me add karne ka tarika btaonga, es se phale me apko Facebook page banane ka tarika bata chuka hun wo post ap neche link me click karke dekh sakte hain, Bloggerblog me facebook page add karne ka tarika.

Ye post puri padhne ke baad ap asani se Facebook page like box apne blog me add kar sakte hain, Apne blog me apko facebook page like box widget add karne ka faida ye hoga ke apke blog me jo koi bhi visitor aega to wo asani se sirf one click karke apke Facebook page ko like kar sakta hai is se apko apne Facebook page ke like increase karne me bhi madad milegi or iss trick se apke blog ke visitor bhi increase honge.

Dosto time zaya kare bina post ke tarf ate hain or seekhte hain ke blog me Facebook page like box kaise add kare to iske liye ap sub se phale aik facebook page bana lain facebook page banane ki malomat ke liye neche link me click kare.


Facebook Page Banane Ka Asan Tarika

Blog Me Facebook Page Like Box Add karne Ka Tarika 



Facebook page blog me add karne ke liye neche steps follow kare.

Sub se phale ap yha Facebook PagePlugin pe click kare.
Click karne ke baad facebook developer page open hoga.

Tab open hone ke baad ap ye steps follow kare.

1. Sub se phale ap apne facebook page ke link dale,
2. Apne page box ki width ktni rakhni hai wo likhe,
3. Apne page box ki height ktni rakhni hai wo likhe, (See image).






Facebook page widget
How To Add Facebook Page Box in Blogger


Ye sub karne ke baad neche apko box ke sample dekh raha hoga wo apko jaisa si lage waisa rakhe wo ap apne hisab se adjust kar sakte hain neche ke option me click karke akhir me ap Get Code me click kare.


Get code me click karne ka baad aik pop up windows open hogi.

Wha apko Iframe section me click karna hai iframe me click karne ke baad apko aik html code dekhe ga ap wo code copy karle, (See image).



Facebook widget
Facebook Page like Box add karne ka tarika

4. Last me copy kia wa code Html JavaScript me paste kare or title me kuch bhi likhe or save me click karde uske baad ap apne blog ko visit karke dekhe facebook page box apke blog me add hogya hoga. 

Iss tarah se ap kisi blog ya website me Facebook Page Like Box add kar sakte ho, agar apko kuch samjh nhi ara ho ya apko is post ke bary me kuch puchna hoto ap comment karke puch sakte hain.

Ap log is blog ki or post bhi read kare me is blog me blogger, internet, tips and tricks se related post share karta hun is post ke bary me apni raye zarrur dain comment section me.


No comments:

Powered by Blogger.