Blogger Blog Ko Bing Webmaster Tool Me Kaise Submit Kare

Hello dosto ap sub kaise hain umeed karta hun ap sub kheriat se honge aaj ki post me bahut achi malomat share karunga is post me ap janenge blog ko Bing or Yahoo webmaster tool me kaise submit kare, Blog ko bing search me kaise submit kare, Blog ko yahoo search me kaise laye, Bing webmaster tool me apni site kaise submit karte hain.

Agar ap apna blog banate hain to apke blog ke liye sub se important cheez blog me views traffic ana hai jo search engine se ata hai, Apne blog me ache traffic ke liye apko apni website ya blog search engines me submit karna hota hai jiski waja se apke blog me traffic ati hai ab sawal ye hota hai ke konse search engine me blog ko submit kare.

Bing Webmaster Tool
Bing Webmaster Tool me blog ko submit kare

Duniya me sub se zada use hone wale search engines Google, Bing or Yahoo hain, Jin me phale number pe sub se zada use hone wala search engine Google hai, Google sub se zada apke blog me traffic laney ke liye important hai, Google ke baad Bing or yahoo search engines hain, Bing or yahoo ab aik hi hogae hain matlab ap bing webmaster tool me blog submit karenge too wo yahoo me bhi submit ho jaega.
Also read these posts:

Blogger Blog ko bing webmaster tool me submit karne ka tarika


Sub se phale ap apne Blog ko Google webmaster tool me submit kare agar apko uske barey me malomat leni hoto neche link me click kare.

Chale ab jante hain blog ko Bing webmaster tool me submit karne ka tarika.

1- Sub se phale Bing Webmaster tool ko open kare.
2- Sign in kare  Microsoft ya Google ke account se. 


Blog ko Bing or Yahoo me add karne ke liye neche diye gae steps follow kare.





Bing webmaster



3- Sign in karne ke baad top par left side pe add a Site me click kare.

Bing webmaster
Bing webmaster tool


4- Uske baad uper apne blog ka URL dale.
5- Neche apne blog ka sitemap dale.
6- Yhan all day (Default) hi rakhe.
7- Add me click kare.


Bing webmaster
Blog ko bing webmaster tool me add karne ka tarika

  • Iske baad apne blog ko verify karne ka liye apko apne blog me meta tag add karne hoge.
  • ADD me click karne ke baad option 2 me Meta tag show hoga wo copy kare. (See Image)


    Bing webmaster
    Blog ya website ko bing me add kare


    • Ab apne blogger dashboard par login kare.
    • Yhan ap Theme >> Edit Html me click kare. 
    • Apne blogger ki theme me <head> search kare or head ke neche copy kya hua Meta tag paste kar ke theme ko save karde.
    • Ab bing webmaster tool me verify me click kare.


    Is tarha se apka blog site bing webmaster tool me submit ho jaegi after 24 hours me apka blog bing search me submit hojaega.

    Is post me ap log ko kuch samjh nhi ara hoto ap comment karke puch lain,  iss post ke bary me apni raye dain, or iss blog ki or post bhi read kare iss blog me pako blogger se related achi post milengi. 





    5 comments:

    Powered by Blogger.