WordPress Website Me Sitemap Banane Ka Complete Tarika - Wordpress site me first post publish karne ke baad sub se zaroori kaam wordpress me sitemap submit karna hai, agar apko wordpress site me sitemap submit karne ke bary me janna hai to ap si post padh rae hain yhan me apko btaonga wordpress blog ya site me sitemap kaise create kare.
Agar ap apni website banayi or usey search engine yani Google or Bing me submit kar diya or apne sitemap nhi banaye to apki site ki post or pages search engine me show ya index nhi honge or apki site me visitor nhi aenge.
Agar ap chahte hain ke Google or Bing jaise apki wordpress website blog ko si tarah se index kar sake to uske liye apko apni site me XML sitemap add karna hoga.
Wordpress me ap apni site ka XML sitemap asani se create kar sakte hain iske liye Wordpress plugins availible hain.
XML Sitemap Kya hai
Sitemap ap ki site ka map hota hai jaise apko khin jana ho or apke pass map hoto ap asani se whan phunch sakte hain bilkul isi tarah se search engine robots ka hai, Agar apki site me XML sitemap add hai to search engine robots ko apki site ke URL ko samjhne me asani hogi, Sitemap me apki site ki sari URL ki list hoti hai or iski madad se search engine robots ko index karne me asani rehti hai.
WordPress Me XML Sitemap Add kaise kare
Wordpress me jaise ke ap jante hain ke sabhi kaam app plugins se kiya ja sakta hai, Wordpress me sitemap add karne ke liye popular plugins avalible hai jinka use karke ap wordpress me sitemap add kar sakte hain.
Me apko Yoast SEO Plugins ka use karke sitemap create karna btaonga.
Yoast Plugins se Sitemap create kare
Iske liye sub se phale ap ap wordpress me yoast seo plugins install kar lain. Yoast Seo plugins wesbite a sitemap automatically khud bana data hai. Neche steps follow kare.
1. Wordpress ke dashboard ko open karen.
2. Add new pe click karen.
3. Yoast SEO plugins search karen or usey install kark activate karlain. (See the image)
Jb ap yoast plugins ko activate kar dainge uske baad wordpress dashboard me SEO ka option ajaega.
1. SEO option me click kare.
2. Feature ke option me click kare.
3. Neche scroll kare XML sitemap ka option hoga usey on kare.
4. On karne ke baad question mark me click kare. ( See the image)
Ab last me apko See the XML sitemap me click karne hai, click karne ke baad new tab me sitemap open hoga yoast seo site ka sitemap khud create karta hai isme hume kuch nhi karna hota. sirf sitemap ko enable karna hota hai. (See the image)
Is tarah se Yoast seo plugins ka use karke ap apni site ka XML sitemap bana sakte hain iske illawa ap complete seo setting apni website yoast plugins se kar sakte hain.
Ab apki site ka XML sitemap ban gaya hai sitemap ko search engine me jaky submit kardain.
Umeed karta hun ap si tarah se jan gaya honge wordpress me sitemap banane ka tarika, agar apko ye post samjhne koi problem hoto ap comment karke puch sakte hain.
No comments: