Blogger Kya Hai, Blogger.com Ka Complete Introduction

Blogger Kya Hai, Blogger.com Ka Complete Introduction  - Kafi logo ko ye jan na hota hai blogger kya hai, blogger me blog kaise banate hain, blogger.com ki jankari yhan me apko isi bary me btaonga.


Aaj kal internet pe blogger bahut famous ho raha hai, online articles likhne or ghar bethe kisi bhi topic ki malomat share karne ke shoqeen log blogger me blog bana rae hain kuch log blog sirf apne shok ke liye banate hain or kuch log blogger se earning karne ke liye banate hain ap blogger.com se earning bhi kar sakte hain, blogger se earning karne ke liye apko apne blog pa work karna hoga blog ko professional banana hota hai shuru me apka blog basic banta hai blogger ko professional banane ke liye theme, widgets, pages, posts wagera add karni hoti hai.


Blogger ko use karne ke liye pahle apko apna blog banana hoga jo ap asani se bana sakte hain blog start me basic banega uske baad apko apne blog ko professional banana hoga jiske liye apko apne blog me widget, customize theme, posts, pages add karne honge.  


Agar apko blogger me blog banane ki malomat laini hoto uske liye neche link me click kare.

 

Blogger Image


Blogger Kya Hai:


Blogger.com aisa platform hai jis per ap apna khud ka Blog ya (Website) free of cost bana sakte hain, post share kar sakte hain, apni malomat dusro ke sath share kar sakte hain, content likh sakte hain, pages bana sakte hain, matlab aik tarah se ap apni puri website bana sakte hain bina kisi charges ke blogger ki sub se khas baat ye hai is me apko khin bhi paise kharach nhi karne padenge.


Blogger itna mushkil nhi hai iske ke liye zaruri nhi ke apko web designing ya web development ati ho agar apko web designing nhi bhi ati jab bhi ap apna aik acha professional blog bana sakte hain asani ke sath.



Blogger pe blog banane ka baad apko post likh ke share kar sakte hain jisey hum content bhi khete hain post ap kisi bhi topic pe likh sakte hain jitni achi apki post hogi or jitna acha apne uss me content likha hoga itne hi apki post pe views aney ke chances hain, blogger me post publish karne ke baad viewers apki post ko share kar sakte hain social media site me apki post me comment kar sakte hain, ap hamesha wo post kare jiski apke pass achi jankari ho kyu ke users us post se related apse questions kar sakte hain.


Also read this post:


Blogger me ap kisi bhi topic me post likh sakte hain example (computer tips and tricks, blogger, fitness, health, articles, sport waghera) ap jis topic pe post likh rae hain apko uski achi malomat honi chahye or post ap khud apne idea se likhe kisi or blog se copy na kare is se apke blog ko hi faida hoga or apke blog me zada views aenge.

Blogger.com ke illawa or bhi kafi platfroms hain blog banane ke liye jiss me Wordpress bahut zada famous hai lekin WordPress me sub kuch free nhi hota Wordpress me apko hosting buy karni hoti hai, domain buy karna hota hai or iske illawa or kafi tools or plugins Wordpress me free nhi hote, jab ke blogger.com me kuch bhi buy nhi karna hota blogger complete free hai.


WordPress ke bary me janne ke liye neche link me click kare.
 
 


Blogger ki example ye blog hai jiss jaga pe aap ye post parh rae hain (Help in Trick) bhi aik blog hai. 


Blog ko website banane ke liye domain purchase karna hota hai bahut si aise sites hain joo domain ki saholat deti hain. Example (Godaddy).
zaruri nhi ke ap apne blog ke liye domain buy kare ap blogger ka domain hi use karke apna blog bana lain or ap bina domian buy kare hi adsence approve bhi kar sakte hain iss se kuch farq nhi padhta. 


Blog banate waqat apke blog ke link me blogger apna domain lagata hai jaise ke blogger.com se blog banate time www.helpintrick.blogspot.com iss tarah se blog ka link banega.

Agar ap chahte hain ke apka blog ka link .com .net .info aisa hoo to iske liye apko domain purchase karna hoga, jo ap kisi bhi achi domain provider se buy kar sakte hain.


Online blog banane ke liye bahut sites hain jo blog banane ke liye platform deti hain, jis me Blogger.com or Wordpress.com best sites agar ap free me blog banana chahte hain to me apko yahi mashwara dunga ap blogger me blog banaye blogger sub se ziada blog bana ke liye use hota hai, Wordpress me bhi ap free me blog bana sakte hain lekin blog banane ke baad wordpress me apko khin na khin paise daine honge. jaise plugins waghera me.

Neche websites list hai jo blog banane ke liye famous hain lekin blogger or wordpress best hain.


Blog sites list.


www.blogger.com
www.wordpress.com
www.blog.com
www.medium.com
www.penzu.com
www.tumblr.com
www.weebly.com
www.wix.com


Iske illawa or bhi bahut sites hain joo apko blog banane ke saholat deti hain, lekin zada famous ye sites hain jinke maine apko uper naam btaen hain.
 
 
Umeed hai apko samjh agya hoga, agar apko kuch samjh nhi aya hoto ap comment karke puch sakte hain, iss post ke bary me comment section me apni raye dain, ap log is blog ki or post bhi read kare is blog me apko blogger, internet, computer se related achi jankari milegi.



17 comments:

  1. Nice Blog sir hindi ya urdu main content likhny say acha traffiq kab tak ata ha

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thank you, Blog me achi post karo post me ache keywords use karo content acha likho uske baad post ko google search me fast index karo kuch dino baad traffic aney lag jaega

      Delete
  2. Kya is trah likhny se aprovl mill jati he sir

    ReplyDelete
  3. I make a blog. but I no idea blog background and pic how much past
    In our blog. so, please give me distal the information.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Download theme and upload in your blog and setting up using setting and theme customize option.

      Delete
  4. thanks for sharing this amazing content.
    computer kya hai.

    ReplyDelete
  5. thanks bhai bohut achi post thi.

    mazeed aisi posts late rahe hamare liye.

    Facebook Vip Bio Account

    ReplyDelete

Powered by Blogger.