Blogger.com Me Blog Banane Ke Baad Kya Kare

Hello dosto aaj ki post bloggers ke liye important post hai or khas to par un logo ke liye jinhon ne apna blog new bananya or wo ab apne blog ko professional banana chahte hain iss post me ap janenge blog banane ke baad kya kare, apne blog ko professional kaise banaye, blogger.com me blog banane ke baad kya kya kare, blog ko search tools me kaise submit kare, blog me widget kaise add kare New blogger ko Blog banane ke baad need hoti hai, To isi masle ko nazar me rakhte huey me ye post share kar raha hun ap is post ko dhyan se parhe.

Blog banane ke baad jo kaam kara jata hai wo kaam hi ap ke blog ke mayar ke barey me btata hai ke blog kis cheez ke liye bana hai or ye kam apke blog ke liye important hai jo apko aik professional blog banane ke liye zarrur karna hoga blog banane ke baad jo kaam kiye jate hain unhen dhyan se kare.


Agar apne abhi tak blog nahi banaya to sub se pahle ap apna blog bana lain,blog banane ke tarika seekhna hai to ap log neche link me click kare.


New bloggers apna blog to bana lete hain but blog banane ke baad kya karna hai iske barey me unhe zada jaankari nahi hoti, isi baat ko dhyan me rakhte huye sequence me btata hun ke kya karna hai.

Blogger image
Blog banane ka baad kya kya kare.


Blogger blog banane ke baad kya kya kare.


1. Template Upload Kare.
Blog banane ke baad sabse pahle blog design karne ki zarurat hoti hai, kyu ke audience ko sabse pahle blog ki design hi attract karti hai, lekin iska ye matlab nahi hai ki aap ko website designing karna seekhna hoga, balke aap pre-designed templates ko internet se download kar sakten hain or apne blog par upload kar sakte hain. Template aisa choose kare jo simple ho, fast loading ho, mobile or SEO friendly ho. Template upload karna ke malomat laine ke  liye ap neche link me click kare.

Blogger Me Template, Theme Upload Karne Ka Tarika


2. Page Bana kar Publish Kare.
Agar aap apne blog ya website ko professional banana chahte hai to us me pages zarrur banae jaise "Contact Us, About Us, Disclaimer, Terms and Condition, Privacy policy" ye pages  kisi bhi website ye blog ke important hote hain ap kisi bhi professional blog ko dekh lain us blog me ye pages zarrur honge. Pages banane ki malomat laine ke liye neche link me click kare.
Blog Website ke liye Terms and Condition page kaise banaye
Blog Website ke liye Privacy Policy page kaise banaye
 
Agar hamari Blog par ye pages nahi hai to google adsense ka account bhi approved nahi hoga, to isliye blogger me ye pages publish karna bahut zarruri hota hai.

3. Blog Post Publish Kare.
Apne blog to bana liya hai lekin isme sabse important kaam hota hai post bana kar publish karna, Q ke post ke zariye hi apke blog visitor aenge, post likhne se se pahle post ke bary me apni knowledge badhaye, yani ki jiss subject par aap post kar rahe hai aapko uski achi jaankari honi chahiye, kyu ke visitors post se related problem apse puch sakte hai, aur hamesha apne interest se related post kare, or copy kiya wa content apne post me istemal na kare.

4. Google Search Console Me Website Submit Kare.
Blog banane ke baad Google me usey submit karna bahut zarruri hai kyu ke isi tarika se apke blog ya website google search engine me show hogi, or blog me traffic aegi, Google webmaster tool ke zariye ap apne blog ko google me submit kare. neche diye link me click kare or google webmaster tool ke bary me complete seekhe.  
5. Google Search Console Me Sitemap Add Kare.
Google search console me sitemap add karke hum google ko yeh batate hai ke hamari site me kya aur kitne page hai iske sath hi yeh bhi batate hai ki kab aur kitni post hum published kar chuke hai, Sitemap add karne se google ko hamari new post published ke bary me pata chalta hai, jis se hamari post search engine me bhi asani se aa jaati hai.

6. Google Search Console Me Post Ko Jaldi Index Kare.
Hamari new post ko google me index hone me 2,3 din ka time lag sakta hai, lekin agar aap apni new post ki link ko google search console me submit karte hai to jaldi hi apki link show hone lagti hai. 
New post ko search console me fetch karke hum apni post ki link ko google search ki high ranking me submit kar sakte hai.

Blog Post Google Search Me Fast Index Karne Ka Tarika
7. Google Analytics Me Account Bana kar Blog Se connect kare.
Hum website ya blog banate hai, aur chahte hai ki humari site par zada visitors ajaen, aisa hota bhi hai, lekin sabse important baat hai un visitors ko track karna jo hamari site par visit karte hai, apni site ki traffic par nazar rakhne ke liye hame ek aisa tool ki zarurat padegi jo hamare visitors ki har moment ko track kar sake, for example, total visitors ki detail, new and old visitors ki percentage kitni hai, kis browser ka use kitna hua, kis website se kitne visitors aye, kaun si country se kitne aye, total pageview kya hai, aur bounce rate kya hai waghera waghera, Visitors ko track karne ke liye sabse best tool hai google analytics, aur iss tool ka use karne ke liye sabse pahle analytics me account banana hoga aur apne blog se jodna hoga.


Dosto blogger me blog banane ke baad kya kya karna hai ab aap jaan gaye hai, iske ilawa aur updates ke liye ap is blog ko follow kare or is blog ke or post bhi read kare us apko bahut kuch seekhne ko milega.


Is post me agar apko kuch samjh nhi aye to comment section me puch sakte hain.  




No comments:

Powered by Blogger.