Blogger Me Theme Download, Upload Or Change Kaise Kare

Hello visitors Help In Trick blog me apka welcome hai aaj ki post me apko blogger blog ki theme download or upload karne ka tarika btaonga, Jab bhi hum apna new blog banate hain to sub se phale hamara focus blog ke design pe hota hai ke blog kaisa hona chahiye, Blog widgets kaise hone chahiye, Blog ka title kaisa hona chaye, Post title kaisa hona chahiye, Har Blogger apne blog ko acha banana chahta hai iske liye apko apne blog me new themes upload karni hoti or aaj me is post me isi ke bary me btaonga ap ye post read kar ke jan sakte hain ke blogger me new template (theme) kaise upload kare,

Blog me acha design kiya hua theme hona zaruri hai kyun ke apka theme jitna acha hoga utna hi apka blog user friendly ban sakta hai theme acha hone se apke blog ko SEO me acha result mil sakta hai, Ache design ke liye zaruri nhi ke apko puri theme design karni paregi balke ap asani se internet se achi design hui wi themes download karke apne blog me upload kar sakte hain.

Agar ap uske baad upload ki hui theme me kuch changes karna chate hain to uske liye apko basic theme design ki malomat honi chahiye jaise agar apko basic HTML or CSS aye to ap upload ki hui theme ko ache se edit kar sakte hain, blog me theme upload karne se phale ap blog bana li jiye agar apko blog banane ki jankari leni hoto neche link me click kare.

Blog Banane Ka Tarika
Blogger Me Blog Banane Ke Baad Kya Kare
>

Blogger Theme Kaise honi chahiye?

Blog ke liye theme download karne se phale ap ye jan lain ke theme kaisa hona chahiye, jo ap theme internet se download kare us me ye sub hona zarori hai.
SEO friendly hona chahiye, 
Simple hona chahiye,
Fast Loading,
User friendly,
Blog me widget hone chahiye,
Blog me social media button hone chahiye,

Blogger Theme download kaise kare?

Blogger.com ne phale se bahut sare template free me de rakhe hai, lekin agar apko apna blog acha se design hua wa or best banana hai to apko apne blog me acha design hua wa or seo friendly theme banana hoga iske liye zaruri nhi ke apko theme edit ya create karna ata ho ap free of cost internet se template download kar sakte hain.

Internet me bahut sari websites hain jha se ap free template download kar sakte hai jaise ke www.template.netjustfreethemes.combtemplates.com in sites me se ap free theme download kar sakte hain.

Blogger me theme upload karne ka tarika?

Blogger me theme upload karne se phale ap apne blog ka backup zarrur le lain jis se apko ye faida hoga ke new theme me apko agar kuch samjh nhi aega to ap backup liye huey theme ko wapas upload karke blog ko asal halat me la sakte hain.


Theme upload karne ke liye Sab se phale ap Blogger.com ke dashboard me jaye.

1. Theme me click kare  

2. Top par Backup/Restore me click kare.

Blogger theme upload
blogger me theme upload karna ka tarika

3. Backup/Restore me click karne ke baad aik pop up windows open hogi.


Blogger theme image
blogger me theme kaise upload kare


1. Download Theme: Yhan click karke ap apne blog template ka backup le sakte hai, agar apko new blog theme achi na lage to phir ap apne blog ki purani theme ko upload karke wapas asal halat me la sakte hai.

2. Choose file: Is me click karke apko download kya huey new template ki XML file select karni hai jo ap upload karna chahte hai.

Aik zarruri baat jab bhi ap new template download karenge to wo winrar ki file me download hoga, apko wo file extract karni hai or extract karne ke baad us me aik XML File hogi sirf wo blogger me upload karni hai.

3. Upload: Last me ap upload me click kare.


Iss tarah se ap apne blog me template upload or change kar sakte hain, Agar apko yhan kuch samjh na aye to ap comment karke puch lena mjh se, is post ke bary me apni raye zarrur dain or is blog ki or post bhi read kare jis se apko kafi kuch seekh sakte hain.



No comments:

Powered by Blogger.