Gmail ID Banane Ka Tarika

Gmail ID banane ka tarika: Is post me ap janege apna email address kaise banaye, gmail account banane ka tarika, email id kaise banaye, play Store account kaise banaye, apne mobile ka data backup ke liye gmail account kaise banaye, play store ke liye email kaise banaye, create gmail account in urdu, mobile account banane ka tarika. 

Agar ap internet use karte hain to ap gmail ko zarrur jante honge gmail ko hum email id banane ke liye use karte hain, email id banane ke liye hum Yahoo, Hotmail bhi use kar sakte hain lekin gmail sub se best hai or is baat ko har koi janta hai gmail google ki service hai or google puri duniya me har cheez me top me ha, or aaj me apko gmail me complete account banane ka tarika btaonga.


Gmail kya hai?

Gmail google ki service hai email bhejne or aik dusre ko data bhejne ke liye gmail ko use kiya jata hai, gmail me account banane se hum ko online gmail me 15 GB free storage milta  hai, gmail ko hum google ki sari product me use kar sakte hain, (YouTube, Play store, Google drive, Data backup, Blogger, Adsense. Google map) me use kar sakte hain, Iske illawa ap kisi bhi website me register honge to uske liye bhi apko gmail account ki zarurat hogi, jb se android mobile aya hai to gmail har kisi ki zarurat ban gaya hai or android mobile user ko gmail ki importance ka andaza achi tarah hoga.


Also read this posts:
Youtube channel me videos upload karne ka tarika


Gmail Account kaise banaye, How to Create Gmail Account?


Gmail account banane ke liye neche diye gae steps follow kare.

1- Sub se pahle apne internet browser me Gmail site open karen, ab gmail ki website open hojaegi site open hone ke baad top me apko Create an account me click karna hai.



Create gmail account
How to Create an Gmail Account


2. Iske baad form open hoga apko wo form fill karna hai ap jo name, password or email fill karen usey khin or bhi note karlen taky apke bhoolne par ap wapis apni id open kar sake.



First name pe ap apna First name dale.
Last name pe ap apna Last name dale.
Username dale ye wohi dalega jo phale kisi ne nhi dala hua ho warna error ata rahega.
Strong Password dale jo ap apne account ka rakhna chahte hain.
Password Wapis dale.




Create your google account
How to create Gmail Account




3. Ab apna mobile number dale uske baad apne jo number dala hai us me aik code ayega apko wo code dalna hai. Number sirf verification ke liye diya jata hai ap baad me number ko remove bhi kar sakte hain. uske baad ap verify me click karden.


Gmail account
Gmail Account banane ka tarika


4. Yhan apko apni detail dalni hai, Number ap chaye to remove kar sakte hain ye optional ha.
5. Recovery email address dalen ye ap zarrur dale is se apka account apse kabhi miss nhi hoga or ap      apne account ka password rest kar sakte hain yhan wo email address jo ap use karte ho.
6. Apni date of birth dalen.
7. Apna Gender select karen, uske baad next pe click karden.


Gmail ID
Gmail id kaise banaye


8. Ab last me sirf apko I agree me click karna ha or apka gmail account create hojaega. Account ka recovery email address zarrur yad rakhen us se ap apne gmail account ko recover kar sakte hain.


Gmail account create


Es tarah se ap in steps ko follow karke apna gmail account bana sakte hain umeed hai apko achi tarah post samjh ayi hogi agar apko post samjhne me koi problem hoto ap post me comment karke puch sakte hain.


Also read this posts:
Ap Help In Trick blog ki or post bhi read karen, Es blog me apko blogger, social media, computer tips and tricks se related kafi post milengi jis se ap bahut kuch seekh sakte hain.


1 comment:

  1. Bohut Bdhiya Bro aapne full details ke saath gmail account banane ka tariqa bataya hai

    From: HindiUrduInfo

    ReplyDelete

Powered by Blogger.