Facebook Video Download Karne Ka Tarika

Facebook video download karne ka tarika, Es post me ap janenge facebook se kisi bhi video ko download kaise kare, facebook se video download karke mobile gallery me kaise save kare, apne pc ya mobile me bina kisi software ke facebook video download karne ka tarika.

Jb ap facebook open karte hain to apke samne kafi videos show hoti hain, kuch videos achi hoti hain ya phir malomati videos hoti hain or apko us facebook video ko download karne ka man karta hai, lekin hum direct facebook ko use karte huey facebook videos ko download nhi kar sakte kyu ke facebook social media site hai jis me video download karne ka option nhi ha is liye hum facebook videos ko directly apne computer ya mobile me store nhi kar sakte.

Kuch log facebook videos ko download karke social media sites me share karna chahte hain jaise ke Twitter, Instagram waghera me lekin ap video ko download nhi kar pate, isi liye me apko is post me facebook se kisi bhi video ko download karne ka complete tarika btaonga. 


Me apko 2 tarika btaonga facebook video download karne ke phale tarika ko use karke ap computer or laptop me facebook videos download kar sakte hain or dusre tarika ko use karke ap computer, laptop or mobile me facebook videos download kar sakte hain.

Computer, Laptop me Facebook Video Download karne ka tarika



Computer me facebook videos download karne ka liye ap sub se phale facebook site open kare, apne account se login kare uske baad neche diye gae steps follow kare.



Step 1. Ab jis bhi facebook video ko download karna chahte hain us video me right click kare, uske baad show video URL me click kare uske baad apke samne aik URL show hogi us URL ko copy kare.



Facebook video download


Step 2. Ab copy kiye huey link ko apne browser ke new tab ke search box me paste kare, ab apko us link me www ko remove karke m likhna ha uske baad keyboard se enter press kare. 










Enter press karte hi apke samne wohi video show hogi jiska Url apne copy kya tha, Uske baad video ko play kare.


Step 3. Video play karne ke baad Mouse se Right click kare, or save video as me click kare, save me video as me click karte hi video download hona start ho jaegi.


Computer, Mobile me Facebook Video Download karne ka tarika


Ye jo tarika me apko bata raha hun isko ap apne computer or mobile dono me use karke facebook videos ko download kar sakte hain ye online tarika ha.

Step 1. Ab jis bhi facebook video ko ap download karna chahte hain us video me right click kare, uske baad Show video URL me click kare uske baad apke samne aik URL show hogi us URL ko copy kare.


Step 2. Ab Fbdown.net website ko open karain, open karne ke baad copy kiye huey link ko box me paste kare, paste karne ke baad download me click kare.

Fbdown










Step 3. Last me apko apko facebook video Normal quality me ya HD Quality me download karni ha us me click kare ye ap pe depend karta ha ke ap kis quality me video ko download karna chahte hain.










Click karte hi video download hona shuru hojaegi.


Es post ko read karne ke baad ap achi tarah jan gaye honge ke without software facebook videos ko download kaise karte hain.

Agar ap log ko post samjhne me koi probem hoto ap comment me puch sakte hain, ap log is blog ki or post bhi read kare is se apki malomat me izafa hoga.

1 comment:

  1. Thanks bhai bohut ache se samajh gya ke facebook ki video kaise download hoti hai

    Facebook se Paise kaise kamaye in Hindi

    ReplyDelete

Powered by Blogger.