WordPress Kya Hai WordPress Ke Bary Jankari
WordPress Kya Hai WordPress Ke Bary Jankari - Aaj ki post me apko WordPress ke bary me btaonga, WordPress kya hai, WordPress.com or WordPress.org me kya farq hai, WordPress ko kaise use kare, WordPress ko use karne ka tarika, WordPress ke bary me complete malomat.
Blogger ka introduction Urdu me
WordPress kya hai? What is WordPress.
WordPress open-source CMS (content management system) hai jo PHP or MySQL par work karta hai, WordPress duniya ka most popular CMS system hai, WordPress world most powerful tool hai, WordPress bahut hi popular blogging platform hai jiski madad se hum professional Blog ya website bana sakte hain.
WordPress ko bahut si companies apni website banane ka liye use karti hain, Wordpress me apko Plugins, Themes, SEO friendly Permalink ye sub free milta hai lekin agar ap advance customization karna chahte hain to uske liye apko WordPress ko payment karni hogi.
Agar blogger se wordpress ko compare kya jaye to blogger 100% free hai jab ke WordPress 100% free nhi hai WordPress me apko kuch options free milte hain jab ke blogger complete free hai.
Blogger ka introduction Urdu me
Blog Banane Ka Tarika Guide In Urdu
Gooogle Search se kisi bhi Link ko kaise remove kare?
WordPress.com
WordPress.com me hosting ki zaroorat nhi hoti, WordPress.com me kisi bhi qisam ke software ki zarurat nhi hoti, iss me apko sara kam online karna hota hai, iss me apko hosting purchase karni hoti hai, iss ma mazeed customization ke liye apko alag se payment karni padti hai, iske illawa isme apko themes bhi bhut kam milti hain. WordPress.com aik aisa platform hai jo apko hosting khud provide karta hai hosting apko wordpress.com ki hi milegi or ap online iss me website bana sakte hain is me apko kisi qisam ka software nhi diya jata, Iss me apko kuch template diye jate hain or kuch template apko buy karne padhte hain, agar ap un templates me advance customization karna chahte hain uske liye apko alag se payment karni hoti hai.
WordPress.org
WordPress.org me apko local hosting ke liye local server ki zarurat hoti hai, Iske liye apko hosting chaye hoti hai, iss me apko WordPress download karna hota hai, iss ko manage or control karna asan hota hai, WordPress me kaam karne ke liye humey hosting ki zarurat hoti hai agar ap wordpress seekhna chahte hain to ap apne computer me localhost bana ke wordpress ko use kar sakte hain localhost ke liye xampp software use kar sakte hain xampp software ki madad se hum apne computer ko as a local hosting use kar sakte hain, is me apko template or plugins zada milte hain iss me apko kafi sarey template free milte hain jiski madad se ap advance customization kar sakte hain, agar apko wordpress ke barey me kuch nhi pata matlab ap phale wordpress ko use karne seekhna chahte hain to ap pahle localhost ke zariye wordpress install karke complete wordpress customization seekh sakte hain uske baad ap chahe to hosting buy karke apni website bana sakte hain.
Gooogle Search se kisi bhi Link ko kaise remove kare?
Agar mazeed in dono ko compare ki jaye too wordpress.com isko asani se setup kia ja sakta hai isko online ap asani se setup kar sakte hain iss me hosting ke liye local server ki zarurat nhi padhti kyu ke is me apko WordPress.com ka hosting server mil jata hai.
Agar WordPress.org ki baat ki jaye to isko ap bilkul free me download kar sakte hain iss me apko bane banaye plugins milte hain, iss me apko kafi sari themes milti hain or iske illawa ap iss me themes add bhi kar sakte hain, isme hosting ke liye alag se pay karna padhta hai zaruri nhi ke hosting ap WordPress ki hi lain ap koi se bhi hosting le sakte hain, agar ap local host banana chahte hain to ye ap free fo cost bana sakte hain xampp server ka use karke iske illawa or bhi kafi software hain jiski madad se ap local server bana sakte hain.
Umeed hai aaj ki post apko samjh ayi hogi agar apko kuch samjh nhi arha hoto ap comment karke puch lain agar ap blogger ke baray me or kuch janna chahte hain to ye blog ki or post ko visit kare is blog me blogger se related kafi sari malomat post apko milengi.
Bhae kya hm blog pr b earnings kr skty h
ReplyDeleteJee bilkul kar sakte hain
Deleteachi post share ki hay apnay
ReplyDeleteSEO solutions for mind blowing business results
https://bestseolearnersblog.blogspot.com/2018/09/seo-solutions-for-mind-blowing-business.html
Thanks
Deletethank you for share this
ReplyDeleteThanks
DeleteNice article useful and informative
ReplyDeleteRead also
Common Blogging Mistakes