Facebook Page Banane Ka Tarika Guide In Urdu

Facebook Page Banane Ka Tarika Guide In Urdu - Facebook Page kaise banaye, Facebook duniya ki sub se zada use hone wali social media site hai, Facebook duniya me har koi use karta hai chaye chota ho ya bada shayd hi koi duniya me aisa ho jo facebook ko nhi janta ho facebook ke zariye ap aik dusre ke sath connect rehte hain, facebook me ap friends bana sakte hain puri duniya me khin bhi, apni pictures or videos dusro ke sath share kar sakte hain facebook se marketing bhi kar sakte hain ap apne product ya business ki.


Agar ap Facebook Profile banate hain too us me ap 5000 friends se zada nhi rakh sakte lekin facebook page par apko unlimited log likes or follow kar sakte hain. 

Facebook ke zariye ap apne business ki marketing kar sakte hain koi product sale kar sakte hain or isi kaam ke liye facebook page banaya jata hai. 

To chaliye bina time waste kare apne topic par ata hun, or jante hai facebook page kaise banta hai.

Facebook image



Facebook page banane ke liye apke paas facebook me account bana wa hona chaiye, agar apka facebook account nhi bana wa too sub se pahle ap facebook account bana lain jo banane bahut asan hai.

Also Read This Posts:




Facebook Page banane ka tarika.


Facebook Page banane ke liye neche diye gae steps ko follow kare.

Sub se phale top me jhan se account log out ya facebook account ki setting ki jati hai us arrow me click kare, phir Create Page pe click kare.



    Facebook


    Create Page pe click karne ka baad aik new windows open hogi us me apne page ki category select kare.



      Facebook


      Category aap apne hisab se select kar lain jaisi apko need hai apki demand ke hisab se joo category si ho wo select kare category baad me change bhi ho sakti hai.



      Facebook



      Aap logo ko btane ke liye maine Brand or Product category select karli hai.
      1- Drop down menu me jakey website select kare.
      2- Or neche wale box me page ke naam dalen.
      3- Get started pe click kare.

      Facebook




      Get started me click karne ke baad apko apne page ke liye profile picture or cover upload karna hai ap isey skip bhi kar sakte hain ya baad me profile or cover change bhi kar sakte hain.

      Facebook


      Facebook

      Profile or Cover upload karne ke baad apka page ban jaega page ban jane ke baad apko apne page ke liye achi or short description likhni hai.

      Facebook page decription


      Add a short description pe click karke apne page ki description likhe, descriptipn 155 characters tak honi chahye description small ho lekin achi ho jis se visitor samjh jaen ke apke page me kya hai.
       

      Also Read This Posts:



      Is tarah se apka facebook page ban jaega, page ban jane kee baad See all page tips me click kare iss option se aap khud samjh gae honge facebook apke page ke liye achi tips degi, Is option me see all page tips me jo bhi tips aye unko complete kare iss se apka page si banega.

      Facebook
        

      Last kaam page ke liye about section ko manage karna hai, About me jane ke liye screenshot dekhen.



      See more me click karne ke baad sub se neeche about ka option hoga us me click kare click karne ke baad about ki setting khul jaegi.

      Facebook page about us


      About apke page ki important setting hai yhan ap apni Category, Name, Username add or change kar sakte hain, apne shuru me jo info page banate time di thi wo sub bhi change kar sakte hain about ke option se, about option me jakey sub se phale ap apne page ka username set kare Create Page Username pe click kar ke, or is tarah se apka facebook page ban jaega.


      Aaj hum ne facebook page kaise banaya jata hai iski jankari li umeed hai ap logo ko sub samjh aya hoga, agar apko koi issue ho ya samjh nhi ara ho to aap post me comment karke puch sakte hain.


      Agar ye post apko achi lage too isko share zarrur kare, is blog ki or post bhi read kare me iss blog me facebook, youtube blogger se related post share karta hun jis se ap kafi kuch seekh sakte hain.



      11 comments:

      1. Mjhy ak chez smjh nhi i usearname kia likhna hota hy

        ReplyDelete
        Replies
        1. jo page ka naam hai wohi username likho agar error aye to username ke agey kuch words alag se likh do. matlab (your page name)123 ya abc waghera kuch bhi likh do.

          Delete
      2. very nice tips to create facebook page, But mera ek sawal hai kya ham 3 ya 4 facebook page ko ek sath merge kar skte hai... Reply jarur kare

        ReplyDelete
        Replies
        1. Thanks, jee facebook pages ko merge kar sakte hai lekin sirf same name or same profile pic wale pages merge ho sakte hain.

          Delete
      3. Website konsi salty hen

        ReplyDelete
      4. Boosting post ki information dyn page k charges pay kerny hoty hain?

        ReplyDelete
        Replies
        1. Jee boosting post ya page ke charges hote hain

          Delete
      5. Facebook page ka koi charges hoty han

        ReplyDelete
        Replies
        1. nhi Facebook Page ke koi charges nhi hote, free me ap bana sakte hain

          Delete
        2. Sir page banani ki bad earning kis tariki se ayi gi.

          Delete
      6. Acha bhi please mujy ye btaiye ga k page ko hum agy kasy shair kerin jis sy ziada sy zida log isko dekh sukain

        ReplyDelete

      Powered by Blogger.