Youtube Channel Banane Ka Tarika Guide In Urdu

Youtube channel kaise banaye is post me apko btaonga, Youtube me channel banane ka tarika, iske illawa youtube ke barey me malomat, Youtube kya hai, Youtube me professional channel kis tarah banaye, In sub question ke answer apko iss post me mil jaenge bus iske liye apko ye post complete read karni hai.

Youtube Kya hai?

Youtube video sharing platform hai jo 2005 me launch hui thi youtube bahut zada popular hai or video sharing site me pahle number pe ati hai Youtube me daily billion log alag alag topic par videos search karte hain, Youtube duniya bhar me kafi zada famous or bari site hai.

Youtube me ap apna free of cost channel bana sakte hain, Youtube channel me videos upload kar sakte hain, ap video screen recorder se record karke, camera se, ya phir video editing software ki madad se video bana sakte hain, apke youtube channel me ache topic or usefull videos hogi to apka channel khud growth karega is tarah se apke channel me views aenge or subscriber bhi badhe gain jis se ap earning bhi kar sakte hain youtube channel monetize karke lekin iske liye apko youtube ki tarf se kuch target hain jo achieve karne hote hain Youtube se bahut log achi earning ghar bethe kar rae hain.
 

Youtube image


Youtube me video upload karne ke liye youtube channel banana hota hai phir uss me video upload ki jati hai, Youtube channel banane se pahle is baat ka khayal rakhen ke ap apne channel me kis topic pe video upload karenge phir us se related apna channel create kare.
Kyu ke apko channel banate time channel about me channel ki detail likhni hogi or usi topic ke keyword bhi use karne honge, 
Agar ap Youtube me video upload ki malomat laina chajhte hain to neche link me click kare.
 


Youtube Channel kaise banta hai? How To Create Youtube Channel.

Youtube Channel create karne ke liye pahle ap apna gmail account banaye, new gmail account create kare usey sirf Youtube ke liye use kare, Gmail Account Create karte time gmail account name or gmail profile pic wo rakhe jo apko Youtube channel me rakhni hai kyu ke Youtube channel me channel name or channel pic automatically apke gmail account wali show hojati hai, agar ap Youtube se channel name or pic change karenge to channel ke sath sath gmail account ki bi change hojaegi.
 
Waise zaruri nhi hai ke apka jis name ka gmail account ho usi naam ka channel banaye ap aik gmail se jtne chaye youtube channel bana sakte hain use a custom naam karke wo ap pe depend karta hai.


Also Read This Posts:





Youtube Channel banane ke liye Youtube site open kare, open karne ke baad apne gmail account se login kare, login karne ke baad top par right side me apne gmail account pe click karen uske baad My Channel pe click kare. 

Youtube



My Channel me click karne ke baad whan gmail account ka default name show hoga ap sirf create channel me click karde agar ap  kisi or name se channel banane chahte hain to new channel ka naam likhe or create channel me click kare screenshot dekhe. 
Youtube



Iss tarah apka Youtube channel ban jaega, channel ban jane ke baad 2 options aenge apko apna channel complete karne ke liye CUSTOMIZE CHANNEL me click karna hai.



Customize channel me click karne ke baad top par ap channel icon (profile) ke edit me click kare or channel icon change kar lain, Uske baad Channel Art me click kare or channel art upload kare channel art ap online ya phir adobe photoshop me bana sakte hain.

Youtube


Uske baad last me about me click karen or apne channel ke bary me channel description likhen.
Youtube



About me click karne ke baad top me apko apne channel ke liye achi si description likhni hai description means apko apne channel ke barey me btana hai ke apke channel me kis cheez se related videos upload hoti hain.
 
Uske neche apko apna gmail account dalna hai, Gmail account ke neche apko location dalni hai.
Youtube



Video upload karne ke liye top par arrow me click kare, click karne ke baad select files to upload me click kare or neche public me click kar dain. Video upload karne ki complete malomat ke liye neche link me click kare or youtube me videos upload karna seekhe.


Youtube Channel Me Videos Upload Karne Ka Tarika



Youtube
  
Iss tarah se apka Youtube Channel Create ho jaega umeed karta hun ap log ko achi tarah se samjh aya hoga agar kuch samjh nhi aya too ap comment karke puch sakte hain, Is post me maine apko Youtube channel banana bataya hai lekin me advanced Youtube setting par bhi post share karunga jis me video upload, creator studio, advanced setting ke barey me btaonga.





Agar ap ko kuch samjh nhi aye to ap post me comment karke puch sakte hain, ap log is blog ki or post bhi read karen is blog me apko Blogger, Youtube, SEO se related post milengi jis se ap kafi kuch seekh sakte hain.




15 comments:

Powered by Blogger.