Pictures me Urdu likhne ka tarika guide in urdu

Assalam o alaikum aaj ki iss post me apko btaonga photoshop ka use karke kisi bhi image me urdu kaise likhe, Image me urdu likhne ka tarika, Inpage me likhi vi urdu image me kaise laye.
Agar ap photoshop me direct urdu likhte hain to uss me urdu si se nhi likhi jati lekin agar hum urdu typing tool use karke MS office ya notepad me urdu likhte hain to uss me bilkul si urdu likh jati hai, agar hum likhi wi urdu copy karke photoshop me paste karte hain to wo si nhi ati or ulte seedhe words show hote hain.


Picture in urdu



Isi problem ko nazar me rakhte huey me apke liye aik khas trick laya hun jis se ap kisi bhi image me urdu asani se la sakte hain. 



Also read this posts:

Picture me Urdu kaise likhe.

Chalye dosto start karte hain aur me apko btata hun ke photoshop me urdu kaise likhe neche diye gae steps follow kare.


Iske liye dosto ap apne computer me Inpage or Photoshop install karle.


Sub se phale ap Inpage ko open kare or apko jo photoshop me pictures me likhna hai wo likhe or jo editing apko urdu me karni hai wo bhi ap inpage me hi kare.


Ab file me jake export page me click kare or browse me save as type me ENCAPSULATED POSTSCRIPT FILES ko select kare, or khin bhi save kare.


Ab Photoshop open kare or new file pe click kare ya us pictures ko open kare jis me apko urdu likhni hai, iske baad open me click kare or us file ko open kare jo apne inpage me save kari hai.


Iske baad ap ke pass Photoshop me 2 files open hojaegi, ab ap urdu wali files ma jae or move tools ka use karke urdu wali files ko pictures ki tarf move karden.


ap text ke size ko transform tool ka use karke chota bara bhi kar sakte hain, transform tool ke liye Ctrl+T shortcut kare or mouse se text ko chota ya bara kare.

Ab photoshop ke file menu me jake Save for web & devices me click karke aap picture ki size increase and decrease bhi kar sakte hain. PNG file mein bhi save kar sakte hain.


Aaj hi ye trick ap try karke dekhai, agar ye post apko achi lage too isey apne dosto ko share kare apko kuch samjh nhi ara hoto ap comment karke puch lain, iss blog ki or post bhi read kare is se apko kafi kuch seekhne ko milega.




3 comments:

Powered by Blogger.