Blog website ke unwanted URL ko Google Search se remove karne ka tarika

Help In Trick blog me apka welcome hai, aj ki post me ap janenge blogger blog ke kisi bhi Post, Page (URL) ko google search se kaise remove karne ka tarika, Unwanted URL ko google search se kaise remove kare, old content ko google se remove karne ka tarika, google search se link remove karne ka tarika,

Jab hum new blog banate hain to shuru me bahut problem hoti hain, kuch samjh nhi ata, lekin agar dil laga ke work kia jaye too sub kuch time ke sath samajh ajata hai, new blogger apna blog too bana lete hain or usey google webmaster tool me bhi submit kar dete hain lekin submit karne ke baad google me blog ke sarey link index ho jate hain too isi problem ko dekhte we me ye post likh raha hun ke koi sa bhi link jo blogger nhi chahta ke search result me show ho ya index ho usko remove kaise kare.



Jab hum google me XML sitemap submit karte hain too sitemap XML hone ki waja se website ya blog ke sarey link google search me index ho jate hain to is waja se hum ko bina zarruri link ko remove karne ki zarrorat hoti hai.


Blog me kuch link aise bhi hote hain joo search result me show nhi hoo too acha hai, jaise pages, author waghera ke link, agar hum post ya page ko blogger se delete karenge to link sirf blogger se delete hoga search result se remove nhi hoga or jab visitor apki post ko search me se click karega too ERROR 404 ka errror ajaega joo apke blog ke liye theek nhi hai, Iske liye zarori ye hai ke phale hum google search se post ke link ko remove kare uske baad blogger se delete kare.



Google webmaster tool

Google search se URL Remove karne ka tarika.

Link ko google se remove karne ke liye.

Sub se pahle Google Webmaster Tool open kare.

Apne blog ka dashboard me google index me Remove URL pe click kare.



Blog URL ko goole se remove kaise kare





Iske baad temporarily hide me click kare. jis link ko remove karna chahte hain uska link copy karke yhan paste kare.


Link remove







Uske baad continue pe click kare.

Submit hone ke baad URL me pending show hoga, apko is ke agey kuch nhi karna 5-6 hours ke baad URL remove hojaegi or pending ki jaga removed likha ajaega.

Is tarah se ap apne blog ka koi sa bhi link search result se remove kar sakte hain, agar ye post apko achi lagi too please isey share kare takey kisi or ko bhi malomat ho.


Is blog ke home page ko visit kare, iss blog me blogger se related kafi post hain, es blog me apko information technology se related post milengi, agar apko is post me kuch problem hoto ap comment karke puch sakte hain.




3 comments:

Powered by Blogger.